Kuch Soch K Dur Khatkhatety Hain
Jhoota Such Ik Sunnatey Hain
Kuch Khadshey Zahir Hotey Hain
Kuch Jazbey Qair Hotey Hain
Kuch Khawab Se Haaley Dikhtey Hain
Kuch Tadberain Mantuk Hoti Hain
Kuch Qissey Adhorey Hotey Hain
Kuch Zaat K Hissey Hotey Hain
Kuch Maat K Maatum Hotey Hain
Kuch Raat K Soraj Hotey Hain
Kuch Din Bhi Andherey Hotey Hain
Kuch Sehra Samunder Hotey Hain
Kuch Phool Mizar Pe Charhty Hain
Kuch Zulf Ki Zeenat Bantey Hain
Kuch Jawab Sawal Bhi Bantey Hain
Kuch Bin Mangey Khali Hath Kion Taktey Hain
Kuch Banjer Khiliyan Bhi Khiltey Hain
Kuch Ansoo Hont Pe Sajtey Hain Hain
Kuch Kajel Surkhyi De Jatey Hain
Kuch Aas Se Piyas Berhatey Hain
Kuch Chashmey Gard Bhatey Hain
Kuch Gardab Main Ghar Banatey Hain
Kuch Kantoon Pe Saij Sajatey Hain
Kuch Hr Pal Bisaat Bichatey Hain
Kuch Khud Ko Daoo Pe Lagatey Hain
Kuch Tum Sa Jatatey Hain
Kuch Shiknoun Pe So Jatey Hain
Kuch Taroun Se Shub Bhar Takratey Hain
Kuch Apni Hi Lakeroun Main Khud Ko Hi Uljhatey Hain
Kuch Khud To Ji Nahi Patey Tumjesoun Pe Mar Jatey Hain