Lamha-e-bey-maani
Poet: Omair Abdaly By: Omair Abdaly, KarachiYoo'n He Be-Wajhe Teri Yaad Ne Dastak Di Hai
 Phir Dar-E-Dil Pe Sar-E-Shaam Magar Kia Kijey ?
 
 Itna Bojhal Hai Ye Dil Fikr-O-Pareshani Se
 Yaad Dubb Jaati Hai Anbaar-E-Gira'n Ke Niche
 
 Dard-E-Ulfat Ki Tarapti Huee Taveerein Ab
 Chupp Si Jaati Hain Mere Haal-E-Fughaa'n Ke Piche 
 
 Tujh Ko Gar Yaad Karein, Kaise Karein Ye Toh Bata?
 Piche Kuch Khaas Mohabbat Ki Nishani Bhi Nahi
 
 Darmiya'n Tha Toh Faqat Ranj Thea Shikwey Thea Bohat
 Dil Ka Rishta Bhi Nahi Prem Kahani Bhi Nahi
 
 Bus Koi Rubt Sa Tha Toot Gaya Jo Akhir
 Ho Sakey Tum Na Mere, Hum Na Tere Ho Paye
 Iss Tarha Khatm Hooa Aik Adhoora Qissa
  
More Love / Romantic Poetry







 
  
  
  
  
  
  
  
  
  
  
 