Mausam Ki Muskurahat Ko Dekh Kar
Shaam Sharma Rahi Thi
Darya Ki Lehron Par
Aftab Ki Kirnain
Jhilmila Rahi Thin
Aisa Mehsoos Hota Tha
Jaisay Yeh Darya
Aks-E-Aasman Main Dhal Gia Hay
Aur Shaam K Husn Main Ghul Gia Hay
Ik Pathar Par Sar Rakh Kar
Main Nay Baarha Dekha Yeh Manzar
K Darya Ki Har Mauj
Ek Faaslay Par Bilkul Tanha Lagti
Aur Dheray Dheray
In Lehron Ki Ik Jhurmat Si Ban Jati
Phir Chand Sa'aton Main
Daya K Kinaray Ko Ch'hoo Letin
Aur Darya Ki Ch'hokhat Par Pohanch Kar
Yeh Lehrain
Khuwabida Rait Ko Baidaar Kar Daitin
Phir Apni Shararat Par
Muskura Kar Wapas Laut Jatin