Add Poetry

Main Aiyna Hoon

Poet: Bilal By: Bilal Sagheer, lahore

Main Aiyna Hoon Wo Mera Khayal Rakhti Hay
Main Toot-Ta Hoon Tu Chun Kar Sambhal Rakhti Hay

Har Aik Maslay Ka Hal Nikal Rakhti Hai
Zaheen Hai,Mujhay Hairat Main Daal Rakhti Hay

Main Jab Bhi Tark-E-Taluq Ki Baat Karta Hoon
Woh Rokti Hay Mujhay, Kal Pay Taal Rakhti Hay

Woh Mairay Dard Ko Chunnti Hay Apnay Pooron Say
Woh Mairay Wastay Khud Ko Nidhaal Rakhti Hay

Woh Dobnay Nahi Daiti Hay Dukh Kay Darya Main
Mairay Wajood Ki Naow Uchaal, Rakhti Hay

Duain Uss Ki , Balaoon Ko Rook Laiti Hain
Woh Mairay Chaar Soo Hathon Ki Dhaal Rakhti Hay

Ik Aisi Dhunn Kay Nahin Phir Kabhi Main Nay Suni
Woh Munfarid Saa Hansi Main Kamal Rakhti Hay

Usay Nadamatain Mairi Kahan Gawara Hain
Woh Mairay Wastay Asaan Sawal Rakhti Hay

Bichar Kay Uss Say Main Duniya Ki Thokaron Main Hon
Woh Pass Ho Tau Mujhay Lazawaal Rakhti Hay

Woh Muntazir Mera Rehti Hay Dhoop Main
Main Laut-Ta Hoon To Chahoon Nikal Rakhti Hay

Rate it:
Views: 490
11 Nov, 2008
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets