Main Aur Ahsan, Younhi Ik Din
Bahir Kahin Pe Ghoom Rahe Thay.
Kuch Mausam Me Bhi Thi Masti
Aur Kuch Hum Bhi Jhoom Rahe Thay.
Chalte Chalte Maine Poochha
Yaar Ahsan Ik Baat Bata
Mohabat Ka Koi Wajood Bhi Hai
Ya Hamare Zehen Ki Haj Ikhtara?
Ahsan Bola Hans K Mujhse
Aksar Khola Ye Baab Na Kar
Enjoy Krne Aaya Hoon
Mera Mood Kharab Na Kr
Ye Ishq Mohabat Kuch Bhi Nahi
Bilawaja Ki Dramay Baazi Hai
Sab Jhoothay Waadey Krte Hain
Na Gawah Hai Na Qazi Hai
Tu Mujhko Aisi Misaal Dikha
K Phir Na Main Inkaar Karoon
Main Bhi Lafz Mohabat Pe
Sache Dil Se Iqraar Kroon
Ye Sun Kr Main Chonk Gaya
Darya E Soch Me Gharaq Hua
Phir Yakayak Ik Khayal Aaya
Kuch Meri Haalat Mein Faraq Hua
Kisi Ne Mujh Me Rooh Phoonki
Jazbaat Me Main Behta Hi Gaya
Mohabat Ki Azeem Misaalon Ko
Aqeedat Se Kehta Hi Gaya
Aik Mohabat Adam Ki
Naam Jiska Hawa Hai
Aik Ishq Khuda Ka Bhi
Jiska Naam Mustafa S.A.W Hai
Is Baat Ne Ahsan K Labon Pe
Jaise Qafal Tha Daal Diya
Jaane Ya Anjaane Me Maine
Jawaab Kaisa Kamaal Diya