Add Poetry

Main Tere Pyaar Me

Poet: Poonam Ana By: Poonam Ana, Karachi

Main Tere Pyaar Me Aaj Tak Royi Nahi Lekin
Najaane Aaj Meri Aankh Kyun Maghmoom Hogayi

Teri Tasveer Jise Ab Talak Dill Se Lagaya Tha
Teri Tasveer Wo Najane Aaj Kidhar Kho Gayi

Tune Dunya Ki Is Bheerh Me Chorha To Kiya Gham
Main Pehle Bhi Akeli Thi Akeli Phir Se Hogayi

Tu Mujh Se Rooth Na Jana Manane Kaise Aaungi
Main Tere Pyaar Me Aakhir Khud Hi Se Dur Hogayi

Main Tujhse Pyaar Karti Hun Tujhe Maloom Bhi Nahi
Main Tere Pyaar Me Aakar Kitni Majboor Hogayi

Teri Zindagi Me Gar Koi Aur Hai To Bool
Main Dunya Se Kahungi Khud Hi Main Mansookh Hogayi

Agar Main Jurm Karun To Kabhi Aankhein Na Dikhana
Main Tumko Dekh Kar Samjhungi Main Maruoob Hogayi

Agar Kuch Galat Dekho To Kabhi Bhi Shak Mat Karna
Main Tum Ko Dekh Kar Samjhungi Main Mashkook Ho Gayi

Mere Naam Ko Zameen Pe Kabhi Likh Kar Na Mitaana
Samajhna Apne Hi Hathoon Main Khud Maadoon Hogayi

Tune Chorh Jane Ki Jab Bhi Baat Mujhse Ki
Kiya Tu Yeh Janta Nahi Main Kyun Maghmoom Hogayi

Agar Main Marr Bhi Jaaun To Dafnaane Nahi Aana
Samajhna Apne Hi Hathoon Main Khud Madfoon Hogayi

Rate it:
Views: 1188
20 Apr, 2009
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets