Add Poetry

Maira Qalam

Poet: Urooj M By: Urooj, Karachi

" Maira Qalam"
Maira Qalam Hee Maira Khudaa Hay
Yehi Qalam Hay K Jisne Mujhko
Urooj BakhshayKhayaal Bakhshay
Mairay Adhuray Zara Say Fann Ko
Kamaal Bakhshay
Yehi Qalam Hay K Jisne Mairay
Lahu Lahu Se Bikhartay Dil Ko
Sambhaal Rakha
Khayaal Rakha
Dukhoon Se Bojhal Malaal Rooh Ko
Khushi K Pall Se Ujaal Rakha
Yehi Qalam Hay K Jisne Meri
Mohabatoon Ki Kahaniyo Ko
Rawaniyaan Dee
Hijr Se Kaali Ujadti Rutt Ko
Jawanian Dee
Maira Qalam Hee Maira Khudaa Hay
Issi Nay Likhay Hain Sassi Punho Ki Rafaqatoon K Taweel Qissay
Aseel Qissay
Saqeel Qissay
Ho Sheereen Farhaad Laila Majnu Ya Heer Raanjha
Tamaam Qissay Jo Mushk Tarr Hain
Vo Qissay Jo Pyaar Ka Asar Hain
Samait Laita Hay Apni Baaho May
Nafrato Ki Hawaon Ko Bhi
Mohabbaton Ki Chaa'on Ko Bhi
Safar Kathin Ho To Agay Badh Kar Ye Pyaar Se Zaad E Raah Bana Hay
Maira Qalam Hee Maira Khudaa Hay
Ye Jangg Aur Amn Se Paray Hay
Faqat Dilo Ki Zabaan Samjhay
Na Hindi Samjhay Na Urdu Samjhay Na Faarsi Aur Arbi Samjhay
Jahan Milay Hay Isay Mohabbat
Usi Ko Apna Makaan Samjhay
Jo Pyaar Se Isko Thaamo Tamaam Umr Ye Rafiq Bann Karr
Ghupp Andhero May Saath Dega
Ye Jugno Bann Kar Jala Karayga
Maira Qalam Hee Maira Khudaa Hay
Na Isko Matlab Hay Ranng O Bu Say
Nasal Se Isko Na Gharz Koi
Na Iski Sochain Watan May Gumm Hain
Na Isko Zaa'ato Ka Marz Koi
Koi Ho Adnaa Koi Ho Aala
Ye Sabbkay Haatho Ka Saath Dainay Khada Raha Hay
Maira Qalam Hee Maira Khudaa Hay
Yehi Sapar Hay
Yeh Paak Tarr Hay
Meri Nazar May Ye Mautabar Hay
Isi May Zam Zam Ki Mushk C Hay
Isi May Ganga Ki Mehk Bhi Hay
Isi May Mandir Ki Aatma Hay
Isi May Masjid Ki Harr Aza'an Hay
Isi May Moosa Isi May Eesa
Isi May Shiv Hain Isi May Krishna
Pujaario Ki Aarti Bhi
Namazio K Wazu Ka Paani
Yehi Hay Qibla Yehi Hay Kaa'aba
Isi Say Chamkay Hay Gurudwara
Yehi To Hay Jis Se Apnay
Pavitr Jeevan K Saaray Qissay
Janam Maran Ki Guthiyo K Jawaab Saaray
Guru Nanak Ji Nay Likhy
Yehi Kaleesa Yehi Hay Maryam
Tamam Raazo Ka Hay Ye Madfann
Isi Qalam K Saharay Saaray Mahatmaa'onPaighambaron
Rishi O Gautam
Tamaam Duniya K Saaray Uttam
Kamaal Zehno K Saaray Nuskhay
Hamaray Zehno Takk Hain Pohnchay
Maira Qalam Hee Maira Khudaa Hay
Mairay To Har Ghamm Ki Ye Dawa Hay
Yehi Rahayga Yehi Raha Hay
Maira Qalam Hee Maira Khudaa Hay
(Naa'tamaam)
 

Rate it:
Views: 396
16 Feb, 2016
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets