Masrofiyat Sy Khud Ko Rehai Diya Karo'
Tum Shehar Mein Raho To Dikhai Diya Karo
Karta Rahy Talaash Tumein Darbadar Koi
Bas Tum To Ranj E Aabla Pai Diya Karo
Gar Tum Sakot Ho To Raho Misl E Sham E Gham'
Aawaz Ho To Ham Ko Sunai Diya Karo
Acha Nahin Ye Lafz Tumhari Zban Par'
Lafz E Wafa Ki Tum Na Duhai Diya Karo
Jawo To Phir Khabar Bhi Kabhi Hamsafar Ki Lo'
Tum Yon Na Koi Zakhm E Judai Diya Karo
Tum "SHAHIDA" Sy Bolo Gy Kitny Jhoth?
Har Jhoth Par Na Apni Safai Diya Karo