Mein Haqiqat Hoon Samjhta Hai Wo Afsana Mujhe
Khud Jalty Hain Bana Ker Apna Perwana Mujhe
Gardish-E-Dooran Se Keh Do Hoosh Ki Batein Kery
Gham Ke Toofano Se Bhi Aata Hai Takrana Mujhe
Unse Unki Bazam Mein Itna Hee Keh K Uth Gaye
Ronaqain Tumko Mubarak Or Veeraniyan Mujhe
Jaanay Kia Insan Tha Aashna Lagta Tha Wo
Ker Gaya Sary Shaanisaoun Se Be-Gunna Mujhe
Aesy Chup Chup Ker Kahan Tak Zehmat-E-Jalwa Gari
Haser Jo Bhi Ho Nazar Aa Be-Hijaaban Mujhe
Meri Tark-E-Mehkashi Per Meri Her Tuba Ke Baad
Ehtiraaman Leyne Aaya Meer-R- Maikhaana Mujhe
Her Naye Saqi Ne UFF Hasb-E-Riwayat He Dia
Mere Hee Khoon-E-Jiger Se Bher Ker Pemanay Mujhe
Dekh Ker Iss Dil Ki Thandi Aag Mai Jalty Howy
Ho Gaye Rukhsat Duayain De Ker Perwany Mujhe