Meri Sustiyon Ka Hasil,Meri Justju Tu Hai
Meri Khamoshiyan Tu Hai Hi Guftgu Tu Hai
Dil Ke Khaali Aangan Me Khila Waahid Gul
Meri Tanhaiyan Mehekati Khushbu Tu Hai
Marne Ki Wajah Barsati Tapishe Khar Me
Saaya Ban Ke Thandak Deti Aarzu Tu Hai
Bohot Bechain Rehta Tha Dile Nachiz Waise
Zindgi Me Thehrao,Saanso Pe Qaabu Tu Hai
Duniya Mukammal Hai Apni Dekh Zara Tu
Jaana Nahi Kahin Yahan Par Mai Hu Tu Hai
Tujhe Maine Kabhi Bataya Nahi Ye Baat Par
Kitaabe Zingdi Ka Unwaan Tu Mazmu Tu Hai
Jis Ko Dekh Kar Khuda Ki Taarif Karun Mai
Qudrat Ka Wo Nayab Dilnashin Jaadu Tu Hai