Mere Jane Pe Ae Jana
Pereshan Tum Nahi Hona
Kabhi Chup Kr Nahi Rona
Judai Zehar Hoti He
Mujhe Maloom He Lekin
Firaq-O-Hijer Ka Moosam
Yaqeenan Beet Jay Ga
Yaqeenan Wasal K Lamhe
Dubara Loot K Ayn Ge
Wahi Shameyn Wahi Raateyn
Wahi Qise'wahi Bateyn
Wahi Phir Dastan Hogi
Mohabat Meherban Ho Gi