Lafz, Lafz Hain Sooraj, Mahtab, Sitaray Nhi Hotay
Kuch Jhot Bhi Hote Hain Sach Saray Nhi Hote
Ankhon Ki Udasi Ka Kuch Aur Bhi Sabab Hoga
Jo Hum Mein Pal Rahe Hain, Gham Wo Sare Hamare Nhi Hote
Zoam-E-Ana Ne Krdia Usay Kuch Aur Bhi Kam Feham Wrna
Samandar Ye Mohabbaton K Sab Khaaray Nhi Hote
Har Aik Chupae Phir Raha Hai Andeshon Ka Jam-E-Ghafeer
Kahin Wo Simt Bhi Ho Jahan Gham K Maray Nhi Hote
Yeh Jo Ashufta Sar Se Phirte Hain Deewane Kuch Log
Yeh Ahl-E-Mohabbat Hain Asaib Zada, In K Utaaray Nhi Hote