Mujhe Mojzoun Pe Yaqeen He
Magar, Is Qadar He Khabar Mujhe
Keh Tamam Tar Mere Chahtien
Tere Pass Aane Ke Khahishien
Mere Chahien Jaane Ke Hasratien
Mere Shub Guzeeda Muhabatien
Usi Harfe Kun Ke Talash Mein
Hein Dhuwaan Dhuwaan Se Riazatien
Mere Khab Hein Abhi Muntashir
He Talaash Keh Koi Deeda Wer
Mere Subho Shaam Ujaal De
Mere Khahishoun Ko Kamaal De
Mere Hasratoun Ko Wisaal De
Mere Walwaloun Ko Jalaal De
Woh Kamaal-E Subh-E Khayaal De
Jo Mere Shub-O Ko Hiaal De
Mein Kia Karoun Ke Karamatien
Sub He Mojzoun Ke Hikayatien
Mere Teera Shub Se Gureez Pa
Mere Chahtoun Se Naashna
Nah Tilissem-E Sahir-E Samiree
Nah Janoon-E Laila-E Aamri
Nah To Tou He Mere Naseeb Mein
Nah Seher He Mere Naqeeb Mein
Mujhe Yun He Rehna He Jaan Ba Lub
Mujhe Jaagna He Tamaam Shub
Sir-E Shaam Subhe Libaas Mein
Kisi Mojze Ke Talash Mein