Add Poetry

Mom ki Tarha pighalte

Poet: Sahil Soomro By: Sahil Soomro, Daharki Sindh

Mom ki Tarha pighalte Huwe Dekha us ko
Rut jo Badli to Badalte Huwe Dekha us ko
Wo jo Kantoon Ko Bhi Narmi Se chhuwa Karta tha
Hum ne phoolon ko Bhi Masalte Huwe Dekha Us Ko
Wo Maange Jaata hai Duaaon Mein Kisi Ko
Haath Uthate hi Sissakte Huwe Dekha Us ko
Phir Duaaon Ke liye haath Uthaye Humne " Sahil "
Jab Muqadar Se ulajhte Huwe Dekha Us ko...SS...
 

Rate it:
Views: 774
10 Apr, 2008
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets