Add Poetry

Mudat Say Honto'n Pay Koi Sadaa Nahi Rakhtay

Poet: S. Sadia amber jilani By: Syeda sadia amber jilani, FaisalAbad, Punjab, Pakistan

Mudat Say Honto'n Pay Koi Sadaa Nahi Rakhtay
Magar Aisa Nahi Koi Hum Duaa Nahi Rakhtay

Tum Kiya Samjho Gay Tumhen Maloon Hi Kiya Hai
Mareez-E-Ishq Kahen Bhi Koi Dawaa Nahi Rakhtay

Log Iss Liaye Bhi Shayed Tanha Chorr Jatay Hain
Tualuq Kisi Say Akal Walay Be-Waja Nahi Rakhtay

Sang Tankeed K Auro'n Par Log Youn Barsaatay Hain
Jaisay K Khud Mein Koi Khataa Nahi Rakhtay

Maana K Safar Bohat Dushwaar Thehray Hain
Magar Yeh Bhi Nahi Koi Raah Nahi Rakhtay

Muhabat K Daawo'n Ka Jo Parchaar Kartay Hain
Aksir Suno Wohi Wafaa Nahi Rakhtay

Okaat-E-Bebassi Bhi Kiya Khoub Hoti Hai
Talib Intaha Ki Aur Qasaa Nahi Rakhtay

Yeh Bhi Muhabat Ka Ik Dastoor Hai Amber
Muhabat Jin Say Rakhtay Hun Un Say Anaa Nahi Rakhtay!!!
 

Rate it:
Views: 337
27 Dec, 2015
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets