Add Poetry

Muhabat

Poet: naz By: naz, karachi

Muhabbat Main Buhat Say Kamalat Hotay Hain
Khowab Hoty Hain Khyalat Hoty Hain

Kabhi Wo Geeli Matti Say Gharonday Bananay Beth Jati Hay
To Sirf Wo Hoti Hay Or "Un " K Tasaworat Hotay Hain

Sahil E Samundar Ki Geeli Rait Par Tahltay Huay Akser
Zahan Main Khayalat K Mujammat Hotay Hain

 Kabhi Usay Kisi Say Hanstay Huay Dekh Lain Tu
 Dil Main Buhat Say Khadshat Hotay Hain

Kabhi Jo In Khadshat Ki Bhanak Parh Jay Kisi Raqeeb Ko To
 Dil Main Kahyalat Ki Jaga Tuhammat Hotay Hain

Na Wo Qais Na Wo Laila Na Sassi Na Wo Punnon
Ab Na Shereen Hoti Hay Na Farhad Hotay Hain

Muhabbat Ka Taaj Mahal Bananay Beth Tu Jain Aay
 Naaz Ab Wo Taaj Mahal Nahi Hota Sirf Khandraat Hotay Hain

 

Rate it:
Views: 819
24 Nov, 2007
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets