Muhabbat Nahi Hai
Poet: Bilal SameeR By: Bilal SameeR, KarachiTere Chehre Se Mujhe Muhabbat Nahi Hai
 Tere Wajud Se Mujhe Muhabbat Nahi Hai
 
 Ghata Ki Tarah Jo Dilon Par Cha Jaen
 Taweel Zulfon Se Mujhe Muhabbat Nahi Hai
 
 Qatil Si Nigahen Jo War Karen
 Jheel Ankho Se Mujhe Muhabbat Nahi Hai
 
 Wo Ashaar Jo Mujh Par Jadu Karen
 Tere Jumlon Se Mujhe Muhabbat Nahi Hai
 
 Mere Balon Se Phislen Chehra Thapthapaen
 Makhruti Unglion Se Mujhe Muhabbat Nahi Hai
 
 Par Kese Samjhaon Mei Tum Ko Ye Bat
 Ke Ye Jhut Hai Ke Mujhe Muhabbat Nahi Hai
 
 Hamari Nazar Se Dekho Tum Khud Ko
 To Mano Ge Ke Khud Hi Ko Muhabbat Nahi Hai
 
 Ham Tujh Se Muhabbat To Karte Bohat Hain
 Bayan Ho Paye Jo Aisi Muhabbat Nahi Hai
 
 Jo Dekhen Teri Ankhen Us Se Muhabbat Hai
 Sirf Teri Ankhen Pasand Hon Aisi Muhabbat Nahi Hai
 
 Jo Phul Tujhe Chu Jaen Un Se Muhabbat Hai
 Sirf Tera Jism Mehwar Ho Aisi Muhabbat Nahi Hai
 
 Jo Dekh Kar Muskurao Us Se Muhabbat Hai
 Sirf Galon Ke Bhanwar Pasand Hon Aisi Muhabbat Nahi Hai
 
 Tera Khayal Jahan Tak Jae Wahan Tak Muhabbat Hai
 Sirf Teri Yad Markaz Ho Aisi Muhabbat Nahi Hai
 
 Teri Jan Teri Ruh Se Ishq Hai Mujhko
 Sirf Jism Tak Mehdud Ho Aisi Muhabbat Nahi Hai
 
 Mei Har Pal Jis Ke Nam Pe Marta Hun Sameer
 Mei Ye Kese Keh Dun Mujhey Us Se Muhabbat Nahi Hai?






