Add Poetry

Muhabbat

Poet: un known By: naz saddiqui, karachi

Muhabbat Ki Door Haath Main Thamnay Say Pahlay
Kisi Ko Sachay Khowab Dikhanay Say Pahlay

 Wafa Main Giriftar Karnay Say Pahlay
Waqt Ki Raftar Barhanay Say Pahlay

Aankhoon Main Khowab Sajanay Say Pahlay
 Hath Main Hath Janay Say Pahlay

Dil K Taroon Par Saaz Chirnay Say Pahlay
 Ulfat Ki Sarhadain Aboor Karnay Say Pahlay

Kisi Ko Piyaar K Bandhan Main Baandhnay Say Pahlay
Or Intizar Ki Door Haath Main Dainay Say Pahlay

 Ehad Lenay Or Qasmain Dainay Say Pahlay
Kaliyaan Chatakhnay Or Phol Khilnay Say Pahlay

 Bus Itna Khayal Rakhna K Wafa Ka Peeker
Badnaam Na Ho Intizar Main Kisi K Subha Shaam Na Ho

 Wo Larki Taray Liye Pareshan Na Ho
 Aankahin Bhojhal Bhojhal Dil Wairaan Na Ho

K Phir Say Khowaab Jalnay Ka Imkaan Na Ho
Dil Main Kisi Ki Yaad Ka Qabrustaan Na Ho

Aankhoon Main Thakan Uternay Say Pahlay
Bus Itna Khayal Rakhna Usay Choor Kar Mat Jana
 Wafa Ko Badnaam Na Karna

 

Rate it:
Views: 797
14 Nov, 2007
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets