Add Poetry

Muhabbat Tou Khush Guma Hai

Poet: By: Saba Ahmed, karachi

Tumhari Angushtari Ke Nag Mai
Meri Muhabbat Chamak Rahi Hai
Agar Kabhi Ye Guma Guzre
Ke Tumhain Main Bholne Laga Ho'n
Tou Is Nageene Ko Dekh Lene
Meri Nigaho Ki Jagmagahat
Tumhari Ankhon Se Ye Kahe Gi
"Suno Muhabbat Tou Khush Guma Hai"

Agar Koi Bugz-E-Dil Ka Maara
Nazar Se Toota Hoa Sitara
Tumhare Seene Main Waswaso Ke
Kaseele Khanjar Utarta Ho
Ke Wo, Jo Dil Phaink-O-Bewafa Hai
Ke Wo, Jo Sab Pe Farefta Hai
Ke Wo, Jo Pardes Ja Basa Hai
Tumhain Bhanwar Beech Chor De Ga
Wafa Ke Sab Qaul Toor De Ga

Tou Is Se Pehle Roo Paro Tum
Tou Is Se Pehle Jal Bojho Tum
Tou Is Se Pehle Ke Ye Kaho Tum
Wo Ahd-O-Peman Sab Ghalat They
Wafa Ke Unwaan Sab Ghalat They
Sehar Ke Imkaan Sab Ghalat They
Tum Apni Angusht-E-Dilruba Per
Gulaab Chehra Jhuka Ke Kahna
"Suno Wo Sach Muj Hi Bewafa Hai?"
Tumhara Roota Sawal Sun Kar
Ye Shookh Nag Muskura Pare Ga
Muhabbaton Ke Safeer Ban Ke
Ye Surkh Nag Aur Haseen Anguthi
Meri Numaindagi Karain Ge
Tumhare Chehre Se Cheaar Karte
Tumhari Ankhon Ke Rang Parhte
Tumhare Baloo Pe Hath Rakh Ke
Tumhare Galoo Ko Thapthapa Ke
Haseen Angushtari Kahe Gi
"Suno Muhabbat Tou Khush Guma Hai"

Rate it:
Views: 816
29 May, 2009
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets