Add Poetry

Muhabbbat

Poet: Minhal By: Minhal, karachi

Muhabbat Oos Ki Surat
Piyasi Asnkhari Ke Hont Ko Serab Karti Hai
Gulo Ki Astino Me Anokhe Rang Bharti Hai

Muhabbat K Dino Me Dasht Bhi Mehsos Hoti Hai
Kisi Firdos Ki Surat
Muhabbat Oos Ki Surat

Muhabbat Abar Ki Surat
Dilo Kisar Zamen Par Ghir K Ati Aur Barasti Hai
Chaman Ka Zrra Zrra Jhomta Hai Muskurata Hai
Azal Ki Be_Nam Mitti Me Sabza Sar Uthata Hai
Muhabbat Un Ko Bhi Abad Aur Shadab Rakhti Hai
Jo Dil Hai Qabar Ki Surat
Muhabbat Abar Ki Surat

Muhabbat Khuwab Ki Surat
Nigaho Me Utarti Hai
Kisi Mehtab Ki Surat

Sitare Arzo Ke Is Tarha Se Jagmagate Hai
Ke Pehchane Nahi Jate
Dil_E_Betab Ki Surat
Muhabbat Ke Shajar Par Khuwab Ke Panchi Utarte Hai

To Shake Jaag Uthti Hai
Thake Hare Sitare Jab Zamen Se Baat Karte Hai
To Sab Ki Muuntazar Ankho Me Shamaie Jaag Uthti Hai
Muhabbat Un Me Bhi Jali Hai
Chirag_E_Aab Ki Surat
Muhabbat Khuwab Ki Surat

Guzar Jate Hai
Sare Qafle Jb Dil Ki Basti Se
Fiza Me Terti Hai Deer Tak
Ye Gird Ki Surat
Muhabbat Dard Ki Surat

Rate it:
Views: 642
12 May, 2009
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets