Add Poetry

Mujhay Apna Bana Laina

Poet: Ibrahim Essani By: Ibrahim Essani, KARACHI

Jis Pal Ko Taraste The Wo Ghari Aagai
Jis Aahat Ko Mere Ehsasat Dhoondte The Wo Shey Aagai
Is Judai Se Bikhar Gaya Tha Main To
Jis Ki Hasrat Thi Wo Aas Aagai
Buht Din Baad Dekhun Ga Main Tumhen
Apni Aagosh Men Samet Lena Mujhko
Is Tanha Safar-E-Zindagi Men
Mera Hamsafar Bana Lena Khud Ko
Tumhari Khushboo Men Behekna Chahta Hoon Main
Mujhe Khud Se Alag Mat Karna
Apni Sanson Ki Rawani Bana Lena Mujhko
Apne Jism Ka Badal Bana Lena Mujhko
Mehekti Kali Ki Tarah Mere Jism Ki Daali Se Tor Lena Mujhko
Apne Jism Ki Kisi Khubsoorat Daal Pe Saja Lena Mujhko
Main Waqt Ke Tufanon Men Phir Se Khona Nahi Chahta
Meri Zindagi Ko Apni Jayedad Bana Lena
Apni Zaat Bana Lena Mujhko
Apna Hissa Bana Lena Mujhko
Mere Jism Ki Banjar Zameen Ko Apni Chahat Ka Sahil Bana Lena
Apne Pyar Ke Samandar Ki Kuch Boonden Mujhe Pila Dena
Armaano Ka Anbaar Laga Hai Dil Mein Mere
Mujhse Mera Sab Kuch Chhen Lena Mujhe Kangal Bana Dena
Ab Kuch Nahi Chahye Mujhe Zindagi Se Aur
Jo Ho Zaroorat Mujhse Meri Zindagi Bhi Chura Lena

Rate it:
Views: 1333
22 Aug, 2008
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets