Kahin Aisa Na Ho Janan
K Mera Aks Chupke Se
Teri Aankon Se Mit Jay
Teri Janaib Palatne Ka Har Ik Rasta
Kahin Na Bund Ho Jay
Meri Yadon Ka Har Punchi
Tumhare Hath Se Nikle Falak Abad Hojay
Ya Phir Barbad Ho Jay
Mera Dil Ab K Seenay Mai
Dharakne Se Mukar Jay
Ana Ki Subz Tehni Ko
Mai Khud Hi Tor Deta Hon
Tumhare Waste Janan
Zid Apni Chhor Deta Hon
Yahi Ik Khuwab Bunna Chahte Thay Na
Yahi Zid Thi Tumhari Na
K Khud Kehte Nahi Thay Tum
Faqat Meri Zuban Se Hi
Mera Iqrar Sunna Chahte Thay Na
Lo Kehta Hon Meri Janan
Mujhe Tumse Muhabat Hai
Suno Janan Muje Ye Aitraf
Ab Barmala Hai K
Meri Rag Rag Main
Khon Bun K To Behta Hai
Meri Aankhn Mai Ik Haseen
Khuwab Bun K To Rehta Hai
K Mere Jism Ka Ik Ik Hissa
Or Seene Ki Har Ik Dharkan
Sabhi Sansen Ye Kehti Hain
Yehi Sach Hai
Muje Tumse Muhabat Hai