Add Poetry

Mulaqaat (book dastaan)

Poet: ayaz By: ayaz ali ayaz, usta mohammad jaffar abad

Kiya Khoob Unse Pahli Mulaqat Howi Thi
Sun Lo Tumhien Sunaon Jo Baat Howi Thi

Main Ne Kaha K Ap Mujhse Milnay Aiye
Usne Kaha K Phir Kabhi Humko Bulaiye

Sun K Yeh Baat Unse Behad Khafa Howe
Jazbaat Main Ye Keh Diya Tum Bewafa Howe

Usne Kaha Majboor Hon Main Bewafa Nahi
Chahay Main Tujhse Door Hon Lekin Juda Nahi

2 Din K Baad Main Khud Hi Milnay Aongi
Wada Hai Yeh Mera Main Yeh Wada Nibhaongi

Main Ne Kaha K Kab Tera Wada Wafa Howa
Lagta Hai Tu Ajj Bas Mujhse Juda Howa

Yeh Keh K Phir Unse Apni Baat Khatum Ki
Dil Se Phir Umeed-E-Mulaqaat Kahtum Ki

Jo Kuch Bhi Ho Raha Tha Sab Kuch Ajeeb Tha
Milna Na Tha Muqadar Khona Naseeb Tha

Yeh Soch K Jo Dil Ne Ek Aah Thi Bhari
Iss Aah Main Bhi Unki Bas Chaah Thi Bhari

Asay Main Agaye Jo Woh Aalam Badal Gaya
Betaab Sa Ho K Yeh Mera Dil Machal Gaya

Dekha Jo Husun-E-Yaar Ko Hairaan Ho Gaya
Hona Jisay Tha Hoor Woh Insaan Ho Gaya

Hathoon Main Mere Unse Jab Hath De Diya
Umar Bhar Ka Jasy Ho Sath De Diya

Ankhon Main Aashk Bhar K Kehna Laga Mujhe
Dil Main Utar K Dil Mai Bharnay Laga Mujhe

Kehna Woh Mujhse Uska Mujhe Chorde Na Dena
Armaan Bharay Is Dil Ko Kahin Torde Na Dena

Main Ne Kaha K Bin Tere Jeena Nahi Mujhe
Yeh Zaher Zindagi Ka Peena Nahi Mujhe

Yeh Mera Muqadar Hai K Tum Ho Gaye Haasil
Dharkan Ho Meri, Tm Ho Meri Rooh Main Shamil

Ab Kasy Koi Tujhko Mujhse Juda Karay
Koi Sochay Bhi Na Aisa, Kabhi Khuda Karay

Rate it:
Views: 642
07 May, 2014
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets