Muntazar
Poet: Nazim Ali By: Nazim Ali, okaraAye Janaa !
 Tujhe Maine Chaha Hai 
 Chahton Se Barh Kar 
 Hon Muntazar 
 Main Qismat ' Muqdar 
 Or Shayad 
 TUmhari Thori Si Anayat Ka !
 Aye Janaa !
 Gar Kabhi Zindagi Ke Kathan Safar Mein 
 Tumhare Pawo Shall Ho Jaein 
 Tum Sab Se Haar Jao 
 Jab Koi Sath Na De Tumhara 
 Tab Shayad 
 Tumhein Aik Pal Ko Mera Khayal Aaye Kabi 
 Tou Ye Jaan Lena 
 Aye Janaa !
 Tumhare Nazim Ke Ghar Ko Jane Wale 
 Sabi Raste Tumhare Muntazar Hain 
 Meri Mohabbatein ' Meri Banaiyaan ' Meri Arzoyein 
 Tumhari Rahon Mein Bichi Milay Gi
 Wafa Ko Tarss Raha Hon 
 Pyar Dene Ko Tarss Raha Hon 
 Aye Janaa !
 Hon Muntazar 
 Bass Ye Yaad Rekhnaa !
More Love / Romantic Poetry







 
  
  
  
  
  
  
  
  
  
  
 