Musafir To Bichartey Hein,Rafaqat Kab Badalti Hai
Mohabbat Zinda Rehti Hai,Mohabbat Kab Badalti Hai
Usi Ko Chahtey Hein,Usi Se Piyaar Kartey Hein
Yehi Barsoun Se Aadat Hai Aur Aadat Kab Badalti Hai
Tumhein Jo Yaad Rakha Hai Yehi Apni Ebadat Hai
Jo Pathar Pay Likhi Jaye, Ebarat Kab Badalti Hai
Kali Ka Phool Banna Aur Bikhar Jana Muqadar Hai
Yehi Kanoon-E-Fitrat Hai Aur Fitrat Kab Badalti Hai
Jo Dil Pay Naqash Kar Jaye Aur Aankon Mein Simat Aaye
Aalamat Hai Yeh Chahat Ki Aur Chahat Kab Badalti Hai
Ussey Chaha,Ussey Pooja,Yehi Taqdeer Hai Apni
Hamein Gumrah Mat Samjho,Ebadat Kab Badalti Hai