My Beauty Queen

PoetZia Ullah Zia Submitted byRaja Zia Ullah Zia
Text size

Tumahari Sadgi Bhi Hooshruba Hai Lakin
Is Dil Ki Khatir Kabhi Sanwar Kar To Daikho

Kitni Udas Sham Aur Tanha Hum Hain Yahan
Kabhi Humari Galee Se Guzar Kar To Daikho

Apni Aankhun Se Chun Loon Ga Sub Kirnoon Ko
Chandni Ki Tarah Kabhi Bikher Kar To Daikho

Kitni Mushkil Se Sanbhala Hai Dil-E-Shikusta Ko
Bicher Janey Waley Peechey Murr Kar To Daikho

Kia Milta Hai Yahan Doobney Sey Zia
Is Beher Main Kabhi Utar Kar To Daikho

Related tags on Parveen Shakir poetry

Copied