Add Poetry

Naa Phir Kisi Ko Aazma Sakay Ga!!

Poet: S. Sadia Amber Jilani By: Syeda sadia Amber Jilani, FaisalAbad, Punjab, Pakistan.

Sa'ato'n Mein Mujhay Ganwaa Kar Umer Bhar Naa Paa Sakay Ga
Aazma K Aaj Mujhay Na Phir Kisi Ko Aazma Sakay Ga

Lout A'aye Ga Aik Din Kisi Haaray Musafir Ki Tarha
Be-Wafai Ka Boujh Woh Kab Tak Bhala Uthaa Sakay Ga

Be-Taab Ashko'n Ki Qeemat Jaan Lay Ga Aik Din Woh
Badaltay Musam Daikh Kar Naa Ashak Apnay Chupaa Sakay Ga

Kon Jaanay Muhabto'n K Paycheeda Rasto'n Pay Chal Kar
Zara Sambhal Kar Yeh Dill Mujhay Phir Kabhi Manaa Sakay Ga

Chala Hai Bhoola K Muhabato'n Ko Talib Nigahun Ki Chahato'n Ko
Makbool Lamhun Mein Kabhi Woh Naa Amber Mujhay Bhoola Sakay Ga
 

Rate it:
Views: 235
18 Sep, 2015
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets