Namay-E-Amal Mien Apna Jurm-E-Mohabat Likha Os Ke Samnay Rakh Detay
Poet: Akram Durrani - California USA By: Akram Durrani, MultanEbadat Gahoon Ke Mabodoon Kee Bheer Me Tum Se Yoon Miltay
 Sar Jhuknay Lagta Osay Wahien Tumaray Samnay Rakh Detay
 
 Eqidadt Kay Os Gaam Par Kui Mor Anay Hee Hum Nahi Detay
 Zahid Jitney Bhi Fatway Laga Ke Humaray Samnay Rakh Detay
 
 Sar Takranay Kay Baad Chokhat Pay Marham Lagi Dekh Kar
 Apni Himaqat Ka Pata Huta Tu Chokhat Ku Mathay Pe Rakh Detay
 
 Naraz Gi Mein Zaban Ku Khanjar Ka Hadaf Denay Kee Zarorat Na Huti
 Hukam Kartay Sar Apna Qalam Karkay Jahan Khetay Wahan Rakh Detay
 
 Insaf Karnay Wala Saza Kay Tur Par Tumhien Hamray Sath Kar Deta
 Namay-E-Amal Mien Apna Jurm-E-Mohabat Likha Os Ke Samnay Rakh Detay
 
 Apni Ranjishoon Ku Zanjiroon Mein Badal Nay Say Tu Behtar Tha 
 Humain Dewar Me Chunwa Ke Mughloon Kee Tareekh Phir Say Likh Detay
 
 Farz Karo Jis Kee Talash Thee Vo Kal Miljata Aghar Durrani
 Phir Kis Kee Aas Mein Or Jetay Chiragh-E-Zindagi Gul Kar Ke Rakh Detay
 
  






