Ao Nayee Kushyoon Ke Bat Karty Hain
Bat Ka Agaz Unhi Kushyoon Kay Sath Karty Hain
Luty To Hazaroon Hain Is Dunya Main
Ao Lut Kay Kushyan Pany Ke Baat Karty Hain
Wo Oogli Se Subha Wo Shabnam Ke Chamk
Parindoon Ka Shor, Wo Koyal Ke Ghanak
Din Ko Shoroh Suraj Ke Kirnon Kay Sath Karty Hain
Ao Chalo Pher Se Us Din Ke Bat Karty Hain
Mili To Ek He Nazar Ke Izajat Faqat
Palkyeen Girany Ke Rahi Nahi Sakat
Teri Khoobsurti Kay Kinary Ke Baat Karty Hain
Ao Nazreen Churany Ke Bat Karty Hain
Wo Nazar Ka Nazar Say Milna
Wo Parendoon Ka Hawaoon Main Phernaa
Tery Chary Say Dil Ko Serab Karty Hain
Ao Ankhoon Main Doob Jany Ke Baat Karty Hain
Adaoon Ke Nazuki , Ya Zulfoon Ke Shararat Ho
Jasy Har Cheez Husan Say Ibarat Ho
Teri Nazakat Ko Sehrany Ke Baat Karty Hain
Ao Aanchal Lahrany Ke Baat Karty Hain
Or Baat Ay Muskuraht Ke To Kea Kahny
Jasy Besh Qimat Mootyoon Kay Gehny
Teri Hasi Kay Chupany Kee Bat Karty Hain
Ao Dil Lubhany Ke Baat Kart Hain
Baat Ka Andas Ho , Ya Iklaq Ka Tarana
Wo Tera Subha Kay Agaz Pay Bolty He Jana
Teri Awaz Ka Jado Chalny Ke Bat Kary Hain
Ao Sehar Main Doob Jany Ke Baat Karty Hain
Pher Hoe Kuch Mulaqat Khatm Asy
Kay Zindagi Khatm Hoe Ho Jasy
Tumara Nam Bhool Jany Ke Baat Karty Hain
Ao Pher Say Naam Pooch Kay Any Ke Baat Karty Hain