Phir Koi Kahani Chale
Phir Kisi Kahani Mein
Mera Naam Aye
Main Tere Husan Pe
Kuch Aisa Likhon
Tu Jab jab Parhe
Tere honton Pe
Muskarahat Bar Bar Aye
Main Kese Biyan Karon
Tere Din Raat
Tou Uthay Tou Subha
Tou Soye Tou Sham Ho Jaye
Phool Bi Rozana Aate Hain
Tere Der Per Farmaish Liye
Tou Ek Nazar e Karam Kare Un Pe
tou Un Ki Khushboo Mein Bhi Asar Aye
Teri Baton Se Ho Jate Hain
Madhosh Mere Alfaaz
Tou Agr Gor Se Dekhe
Tou In Pe Bhi Khumar Aye
Nazim Tou Ek Aaam Sa Shayar Hai
Tujhe Agar Dekh Le Wasi
Tou Us Ki Ghazal Mein Bhi Tera Naam Aye