Add Poetry

Phir Se Hijar Jaga Hai

Poet: Aamir joyia By: AAMIR JOYIA, dubai

Phir Se Hijar Jaga Hai 
Phir Se Roswai Ho Gi 

Nam Hoye Hain Chasham Yeh Mudaton Bad 
Aaj Phir Khoob Barsat Ho Gi 

Bhool Chukey Thy Jo Kissey Adhoorey Hum 
Lagta Hai Ajj Onhi Pe Khud Se Takrar Ho Gi 

Khamoshi Se Jo Dhalti Ja Rahi Hai Yeh Shaam Chupke Chupke 
Na Jaane Kiss Karwat Ajj Neend Beedar Ho Gi 

Darr To Pahle Bhi Lagta Tha Andheeron Se Mujhe
~~~ Aamir ~~~
Na Jaane Kion Lagta Hai Ajj Jeese Koi Kayamat Ho Gi 

Nikleen Gey Khabon Ke Ghoorrey Par Sawar Ho Kar 
Na Mile Gar Woh Khaab Mien Bhi Mere Ho Kar 

To Shaid Ajj Ki Raat
Akhri Raat Ho Gi 

Naa Hum Rahen Gey 
Naa Zamane Ke Lab Par Koi Baat Ho Gi 
Na Phir Kabhi Hamari Roswai Ho Gi

Rate it:
Views: 532
08 Jul, 2013
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets