Phir Se Mausam Bahaaro.N Kaa Aane Ko Hai
Phir Se Rangii.N Zamaanaa Badal Jaayegaa
Ab Kii Bazm-E-Charaagaa.N Sajaa Le.Nge Ham
Ye Bhii Aramaa.N Dil Kaa Nikal Jaayegaa
Aap Kar De.N Jo Mujh Pe Nigaah-E-Karam
Merii Ulfat Kaa Rah Jaayegaa Kuchh Bharam
Yuu.N Fasaanaa To Meraa Rahegaa Yahii.N
Sirf Unavaan Us Kaa Badal Jaayegaa
Phiikii Phiikii Sii Kyuu.N Shaam-E-Maikhaanaa Hai
Lutf-E-Saaqii Bhii Kam Khaalii Paimaanaa Hai
Apanii Nazaro.N Se Hii Kuchh Pilaa Diijiye
Rang Mahafil Kaa Khud Hii Badal Jaayegaa
Mere Mitane Kaa Un Ko Zaraa Gam Nahii.N
Zulf Bhii Un Kii Ai Dost Bar_Ham Nahin
Apane Hone Naa Hone Se Hotaa Hai Kyaa
Kaam Duniyaa Kaa Yuu.N Hii To Chal Jaayegaa
Aap Ne Dil Jo ’Zahid’ Kaa To.Daa To Kyaa
Aap Ne Us Kii Duniyaa Ko Chho.Daa To Kyaa
Aap Itane To Aakhir Pareshaa.N Na Ho.N
Vo Sambhalate Sambhalate Sambhal Jaayegaa