Add Poetry

Phool

Poet: Aansoo By: Waqas, Karachi

Janta Hun Tum Ko Phool Pasand Hain
Janta Hun Bahot Naraz Ho Tum
Haan Tumhari Wafaon Ka Idraak Der Se Hua Mujhko
Mager Mujh Ko Yaqeen Hai Mein Tumko Mana Lunga
Janta Hun Tum Ko Phool Pasand Hai
Isliye Lal,Peele ,Safaid Rang Ke Phool Laya Hun
Mujh Ko Maloom Hai Tum Inko Pa Ker
In Ke Hi Manind Khil Jaogi
Is Soach Ke Saath Jaise Hi Mein Ne
Tumhare Darwaze Per Dastak Di
Ek Kamzor Si Aawaz K Saath Woh Khul Gaya
Tum Ko Na Pa Ker Ye Daryaft Kiya
Woh Kahan Hai?
Un K Aankhon Se Aansu Chalak Pade
Haan Shayad Woh Tumhari Maa Hi Thi
Jinki Hichkiyon Ke Beech Bas Ye Hi Sun Paaya
"K Woh Nahi Rahi"
Dekho Jo Mein Phool Laya Tha
Woh Tumhari Tasveer K Paas Rakh Diye Hain
Ye Dekh Ker Khush Hun K
Tasveer Mein Bhi Tumhara Rang
In Phoolon Ko Pa Ker
In Ke Hi Manind Khil Gaya Hai

Rate it:
Views: 974
15 Sep, 2017
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets