Mujh Ko Pindar E Shikasta Ne Ubharny Na Dia
Dsht E Afkar E Pareshan Se Guzarny Na Dia
Yun Bhi Koshish Hi Na Ki Hum Ne Kabhi Marham Ki
Aur Kuch Waqt Ne Bhi Zakhm Ko Bharny Na Dia
Apni Kotahi Bhi Susti Bhi Nazar Mein Hai Magar
Hasidon Ne Bhi Mere Fun Ko Nikharny Na Dia
Main Bhi Jhuk Jata To Hr Kam Sanwar Sakta Tha
Meri Khud Dar Tabiat Ne Sanwarny Na Dia
Main To Sehra Ke Har Ik Zarry Mein Shamil Hota
Teri Yadon Ne Tere Gham Ne Bikharny Na Dia
Zindagi Cheeni Gai Mujh Se Magar Phir Bhi Anjum
Mujh Ko Sangeeni E Halaat Ne Marne Na Dia