Raat Ka Der !

Poet: ajmal By: Ajmal, Bradford, England

( For The Elegant & Imaginative Viewers)

Bohat Main Bund Kerta Hun Khyalon K Kwarroun  Ko
Dubbay Paon Koee Aahut Baddan Ko Sunsnati Hay

Khuli Reh Jati Hay Koee, Na Koee Yaad Ki Khidki
Koee Perdah Sirakta Hay Na Kuchh Aawaaz Aati Hay

Koee Bhoola Bhatakta Ek Musaafir Sa Khyaal Aa Ker
Meray Bhojal Baddan Ko Nurm Hathon Say Hilaata Hay

Tera Khawbida Paiker Neend Main Kerwat K Bul Hoker
Meray Serhanay Apne Taza Gujj-Ray Chod Jaata Hay

*Kwarroun Means "Latches" (I.E; Locking Chain)
 

Rate it:
Views: 523
24 Jun, 2011