Radeef, Qaafia, Bandish, Khayal, Lafz-Gari
Woh Hoor Zeena Utarty Hoey Sikhaany Lagi
Kise Ki Sheerin Labon Se Udhaar Lete Hain
Mithaas, Shehed, Rtab, Cheeni, Qand, Misri Dalli
Kise K Sath Nahaty Hain Taiz Barish M
Libaas, Gajray, Ufaq, Aakh, Zulf, Hont, Hansi
Kise Ka Bheega Badan Gull Khilata Hai Aksar
Gulaab, Rani, Kanwal, Yasmeen, Champa Kali
Kise Ko Chalta Howa Dekh Lain Toh Chalty Banain
Ghazal, Morni, Mojain, Najam, Zamana Gari
Kise Ki Madh Bhari Aakhon K Aagay Kuch B Nhi
Thakan , Sharaab, Dawa, Gham, Khumar-E-Neem Shabi
"Ba Shart E Faal" Kise Khayal Per Main Wardon Ge
Chaman,Pahaarr,Daman,Dasht,Jheel,Khushki,Taree
Nigahain Chaar Hoye Waqt Hosh Kho Betha
Saddi,Dihaai,Baras,Maah,Roz,Aaj,Abhi
Ataa E Husn Tha Qais Ek Jhalak M Shokh Ghazal
Biyaaz Hoti Mukamal, Magar Woh Phr Na Mila