Safr e Zaat
Poet: Saqib Anjum By: Saqib Anjum, LahoreKuch Fasla Bhi Nahin Yahan
 Meri Zaat Se Teri Zaat Tak
 
 Mafhoom Hai Ik Sa Hi Ab
 Meri Baat Se Teri Baat Tak
 
 Hijr Mein Bahein Ashq Yun
 Wasl Ki Us Raaat Tak
 
 Tera Naam Hai Jo Labon Pe Hai
 Fani Se Us Sabaat Tak
 
 Tu Ne Sanwara Hai Mujhey
 Kufr Se Hidayaat Tak
 
 Rahun Ga Muntazir Sada Tera
 Tujh Se Ik Mulaqaat Tak
 
 Wo Milan Jo Ho Zara Sanam
 Meri Mout Tak Hayaat Tak
 
 Mera Safr Hai Bara Mukhtasir
 Teri Zaat E Ba Sifaat Tak
 
 Tera Saath Hi Mujhe Chahiye
 Jahan Se Pul E Siraat Tak
 
 Rahun Ga Tera Aur Sirf Tera
 Is Ishq Ki Mamaat Tak
 
 Aur Ishq To Marta Nahi
 Har Amal Ki Muraat Tak
 
 To Milan Bhi Ho Ga Kabhi Sanam
 Jo Ruko Kabhi Ishq Ki Salaat Tak
More Love / Romantic Poetry






