Sahib e Ishq
Poet: Usman Arif By: Usman Arif, LahoreMuhabbat Ki Humne Shor Log Macha Baithay
 Uski Ankhon Mein Doobay Hum Aur Wo He Ho Khafa Baithay
 Chahat Asi K Is Ishq Sir Char K Naachy
 Badnaam Bhi Hum He Huwe Aur Hum He usko Gawa Baithay
 Logo Mein Gussa Tha Aur Hum Mein Ishq
 Aag Unho Ne Lagai Aur Dill Hum Jala Baithay
 Muskurane Pe Uske Madhosh Huwa
 Hosh Mein Aane He Wala Tha Wo Phir Muskura Baithay
 Hansta Tha Muskurata Tha
 Ye Nahi Pata Tha Kitna Bara Rog Khud Ko Laga Baithay
 Ishq Ki Saza To Millni Thi Wo Humse Dour Kiya Huwe
 Hum Khud Ko He Sooli Charha Baithay
 Ishq Tha Ab Kiya Kerte Nikkah Uska Huwa Kahin Aur
 Tohfay Mein Hum Apni Jaan Gawah Baithay
 Jigar Jala, Jala Seena
 Jab Wo Dekh K Mujh ko Daar Per Sab K Samne Muskura Baithay
 Acha Huwa Jo Haqeqat Dekh Li Main ne
 Hum He Pagal Thay Jo Dill He Dill Mein Usko Apna Bana Baithay
 USMAN... Chor Yr Ab Uski Fikar Kerna
 Hum Kon Sa Logo Ko Uska Naam Bata Baithay
  







 
  
  
  
  
  
  
  
  
  
  
 