Sakoot-E-Zaat Mein Utar Jaen Gay Kisi Rozz
Zindagi Tujh Say Bhi Guzar Jaen Gay Kisi Rozz
Tu Jo Aaj Gurayza'n Hai Meri Qurbat Say
Teri Dast-E-Duaa Mein Tehar Jaen Gay Kisi Rozz
Udaasi Ka Sabab Apni Batae'n Gay Tumhen Bhi
Har Zabat Nazar Teri Kar Jaen Gay Kisi Rozz
Abhi Sargarda'n-E-Wafaa Hain Ik Be-Naam Safar Mein
Thak Jaen Gay Tu Ghar Jaen Gay Kisi Rozz
Wehshaten Kitni Janay Hum Mein Bassi Hain
Daykh K Khud Bhi Dar Jaen Gay Kisi Rozz
Abhi Naa Bicharrnay Ka Peyma Karo Tum
Daykhen Gay Sambhal K Kidhar Jaen Gay Kisi Rozz
Hum Jo Zabat Mein Rakhtay Kamaal Kabhi
Lagta Hai K Ab Bikhar Jaen Gay Kisi Rozz
Woh Jo Hassaas Bohat Hain Nazuk Dill Amber
Bikhar K Khud Hi Mar Jaen Gay Kisi Rozz