Sare Taqe Jaan Na Chiragh Hai Pase Baame Shab Na Seher Koi
Ajab Ek Arsa-E-Daraz Hai, Na Guman Hai Na Khabar Koi
Nahi Ab To Koi Malal Bhi, Kisi Wapsi Ka Khayal Bhi
Ghame Bekasi Ne Mita Diya Mere Dil Me Tha Bhi Agar Koi
Tujhe Kya Khabar Ke Raat Bhar, Tujhe Dekh Pane Ko Ek Nazar
Raha Sath Chand Ke Muntazir Teri Khidkiyon Se Idhar Koi
Sare Shakhe Jaan Tere Naam Ka Ajab Ek Taaza Gulab Tha
Jise Andhiyon Se Khatar Na Tha Jise Tha Khizan Ka Na Darr Koi
Teri Berukhi Ke Dariya Me Ghani Teergi Ke Hisaar Me
Jale Kis Trha Se Chiraghe Jaan Kare Kis Taraf Ko Safar Koi
Kate Waqt Chahe Azab Me, Kisi Khwab Me Ya Saraab Me
Jo Nazar Se Door Nikal Gaya Use Yaad Karta Hai Har Koi
Sare Bazm Jitne Chiraagh The, Woh Tamam Ramz Shanas The
Teri Chashme Khush Lihaz Se Nahi Bolta Tha Magar Koi