Add Poetry

Sehra

Poet: Parveen Shakir By: Moin Shaikh, karachi

So Jao To Mehfile Barpa Dekho
Aankh Khul Jae To Tanhai Ka Sehra Dekho

Sham Bhi Ho Gae Dhundla Gae Aankhen Meri
Bholne Wale Main Kab Tak Tera Rasta Dekho

Aik Aik Kar K Mujhe Chor Gae Sab Sakhian
Aaj Main Khud Ko Teri Yad Main Tanha Dekho

To Mera Kuch Nahi Lagta Magar Jane Hayat
Jane Q Tere Liye Dil Ko Dharakta Dekho

Band Kar K Vo Meri Aankhen Shararat Se Hansi
Bhoje Jane Ka Main Har Roz Tamasha Dekho

Sab Ziddien Uski Main Pori Karo Har Bat Suno
Aik Bache Ki Tarha Main Usey Hansta Dekho

Mujh Pay Cha Jae Vo Barsat Ki Khushbo Ki Tarah
Ang Ang Apna Main Usi Rut Main Mehakta Dekho

Phool Ki Tarha Meray Jism Ka Har Lab Khil Jae
Pankhari Pankhari Un Honton Ka Saya Dekho

Main Ne Jis Lamhe Ko Pooja Hai Bas Aik Bar
Khawab Bankar Teri Aankho Main Utarta Dekho

To Meri Tarha Se Yakta Hai Magar Mere Habib
G Main Aata Hai Koi Or Bhi Tujh Sa Dekho

Toot Jae Ge Pighal Jae Ge Mere Kache Gharey
Tujhko Dekho K Ye Aag Ka Darya Dekho

Rate it:
Views: 2037
09 Feb, 2008
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets