Mera Bistar Udaas Aur Khali
Neend Aye Tou Kis Tarah Aaye
Pichhlay Mausam Ke Woh Haseen Mehman
Aur Yadon Ke Pheltay Saaye
Mein Nay Socha Tha Zakhm Yadoun Ke
Waqt Ke Saath Bher He Jayein Ge
Aap Ke Iss Tarah Badalnay Se
Dil Ke Jazbaat Mer He Jayein Ge
Jhaarr Dein Ge Woh Gird Mazi Ki
Nayee Manzil Naya Chalan Ho Ga
Aap Ke Shehar Se Na Guzrein Ge
Na Kabhi Aap Se Milan Ho Ga
Khaak Ker Dalein Ge Woh Tehreerein
Jin Pe Likha Hua Tha Aap Ka Naam
Bhool Jayein Ge Aap Ki Batein
Kis Ko Aye Gi Yaad Aakhri Shaam
Aayee Bersaat Aur Beet Gayee
Badla Mausam Nay Phir Naya Singhaar
Khushk Pattoun Ki Sersaraahat Se
Phool Tootay Bikhar Gayee Mehkaar
Phir Chali Shaam Ki Woh Thandi Hawa
Aur Honay Laga Mujhay Ehsaas
Pichhlay Mausam Bhi Yoon Chali Thi Hawa
Aur Baitha Tha Koee Meray Pass
Dheeray Dheeray Woh Dhundhlay Dhundhlay Naqoosh
Aik Aik Kerkay Samnay Aaye
Jaisay Koee Kissi Ko Yaad Karay
Jaisay Koee Kissi Ko Yaad Aaye
Haan Mujhay Yaad Hay Woh Geet Woh Raat
Jo Meri Umar Ki Thee Pehli Bhool
Aaj Pachhimm Kay Serd Jhunkon Nay
Phir Uda Di Hay Raastay Ki Dhool
Hay Khalayaat Kay Samander Mein
Unn Ki Yadoun Say Aaj Dil Ma'amoor
Souch Ke Paaniyoun Mein Dooba Hoon
Neend Mujh Se Hay Aaj Kosoun Door