Sham se subah ka safar kat ta nahin
Din to guzar jata hai shab dhalti nahin
Ik be-chaini si rehti hai dil main
Jab hoti tujh se mulaqat nahin
Tere ishq ne kia bekaar mujhe
Warna pehle thi yeh baat nahin
Manane ki tujhe nobat na aaye kabhi
Aisi to koi apni khawahish nahin
Teri aankhon main hum to doob chuke
Ubharne ki hamain ab aarzoo nahin
Haathon main jo haath tera thaam liya
Yeh saath kisi soorat ab chorna nahin
Khushion ko kisi ki khakstar kar doon
Aisi to mujh main aadat nahin
Kuch to ayan ho jaye haal-e-dil
Alfaz ada karma zaroori to nahin
Yeh dastaan-e-hayat hai HASSAN ki
Aisa kahin koi aur to nahin?