Sirf Saat Pardon Mein To Haya Nahi Hoti
Text size
Rothna Khafa Rehna, Ye Wafa Nahi Hoti
Chahaton Mein Logon Se Kya Khata Nahi Hoti
Sab Ko Aik Jaisa Kyun Tum Samajhne Lagte Ho
Kyun K Saari Duniya To Bewafa Nahi Hoti
Har Kisi Se Yaari Har Kisi Se Waaday
Pyar Karne Walon Mein Ye Ada Nahi Hoti
Be-Naqaab Chehre Bhi Ek Hijaab Rakhte Hain
Sirf Saat Pardon Mein To Haya Nahi Hoti
Sab Kuch Kho Diya Tumhare Pyar Mein Hum Ne
Kya Ye B Chahat Ki Inteha Nahi Hoti