Sitam Ke Pehlou Men Pal Raha Hoon,Main Gham Ke Kanchay Men Dhal Raha Hoon
Main Apni Hasti Mita Raha Hoon,Main Zehr Zaiqay Nigal Raha Hoon
Haen Aik Arsa Se Na Rawa Se Mizaaj Soorij Ke Sakht Barham,
Main Hiddatoon Se Nibard Azma Hoon, Rafta Rafta Pighal Raha Hoon
Main Ebn-E-Maryam To Hoon Nahen Keh Saleeb Per Bhi Rahon Main Sakit,
Mujhe To Saansen Bhi Chubh Rahi Hen,Tarhp Raha Hoon,Uchal Raha Hoon
Main Itni Shiddat Ke Sath Apni Bhatakti Rooh Ki Talaash Men Tha,
Keh Dasht-O-Sehra Ki Wus'atoon Men,Main Wehshaton Ki Shakal Raha Hoon
Meray T'alluq Se Shehr Men Jin Haseen Chehron Ki Thi Shanasi,
Main Aj Un Sab Shanas Chehron Ka Na Shanasa Nikal Raha Hoon
Ye Pur Musarrat Haseen Manzar Ye Dil Kashi Ye Hawaen 'Sarmad'
Na Dil Ko In Se Qarar Aya,Main Apne Manzar Badal Raha Hoon