Add Poetry

Sitaray Mil Nahin Saktay

Poet: By: Anila Naqi, Rawalpindi

Ajab Mousam Thay Chahat Kay
Kabhi Gar Yaad Ajaein
To Palkon Par Sitaray Jhilmilatay Hain
Kisi Ki Yaad Mein Raaton Ko Aksar
Jagna Mamool Tha Apna
Kabhi Gar Neend Ajati To
Hum Ye Soch Letay Thay
Abhi To Wo Hamaray Wastay
Roya Nahin Hoga
Abhi Soya Nahin Hoga
Abhi Hum Bhee Nahin Rotay
AbheiHum Bhee Nahin Sotay
So Phir Hum Jaagtay
Aur Us Ko Yaad Kartay Thay
Akailay Beth Kar Weeran Dil
Abad Kartay Thay
Hamaray Samnay Taron K Jhurmut Mein
Akela Chaand Hota Tha
Jo Us Kay Husn Kay Agay
Bahut Hee Mand Hota Tha
Falak Par Raqs Kartay
An Ginat Roshan Sitaron Ko
Jo Hum Tarteeb Detay Thay
To Us Ks Naam Banta Tha
Hum Aglay Roz Jab Miltay
To Guzree Raat Ki Har Bay Kali Ka
Zikar Kartay Thay
Har Ik Qissa Batatay Thay
Kahan Kis Waqt Kis Tarha Say
Dil Dharka Bataty Thay
Main Jab Kehta K Jaanan
Aaj To Mai Raat Ko Ik Pal Nahin Soya
To Wo Kahamosh Rehti Thee
Par Us Ki Neend Main Doobi Huee
Do Jheel See Ankhen
Achanak Bol Uthtee Theen
Main Jab Us Ko Batata Tha
K Mai Ne Raat Ko Roshan Sitaron Mae
Tumhara Naam Dekha Tha
To Wo Kehti Razi Tum Jhoot Kehtay Ho
Sitaray Mai Nay Dekhay Thay
Aur Un Roshan Sitaron Mein
Tumhara Naam Likha Tha
Ajab Masoom Larki Thee
Mujhay Kehti Thi Lagta Hai K Ab
Apnay Sitaray Mil Hee Jaingay
Magar Us Ko Khabar Kya Thee
Kinaray Mil Nahin Skatay
Mohobbat Ki Kahani Main
Mohobbat Karnay Walon Kay
Sitaray Mil Nahin Saktay
Sitaray Mil Nahin Saktay

Rate it:
Views: 2731
05 Jul, 2008
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets