Had Say Guzarti Hai Jab Kabhi Tashnagi Soch Mein
Chala Ata Hon Roay Darya Soch Hi Soch Mein
Sar-E-Sahil Apnay Hi Kadmon K Takub Mein
Nigah Door Nikal Jati Hai Kisi Gehri Soch Mein
Dhalay Dhalay Se Nakoosh-E-Kaf-E-Pa Reg-E-Darya Par
Daal Detay Hain Ik Ajnabi C Soch Mein
Shayed Koi Kareeb Se Guzra Hai Phir Abhi
Mauj-E-Darya Hai Kuch Nishan Mitanay Ki Soch Mein
Pehlo Nasheen Ki Arzoo Kabhi Tak-E-Safar Ka Aarza
Hoti Hai Sarf Youn Musafir Ki Zindagi Soch Mein
Chehray K Tabassum Ko Shadmani Na Samjhiay
Tanha Pan Ka Sarab Hai Is Chehkati Soch Mein
Tang Nazari Ki Bhi Had Hoit Hai Raza Ji
Kyun Is Kadar Rookha Pan Hai Aapki Soch Mein