Suna Hai Log Osay Aank Bhar K Dektay Hain
So Os K Shehr Mai Kuch Din Tehar K Dektay Hain
Suna Hai Rabt Hai Os Ko Kharab Haalo Se
So Apnay Aap Ko Barbaad Kar K Dektay Hain
Suna Hai Dard Ki Gahuk Hai Chashm-E-Naaz Os Ki
So Hum Bi Os Ki Gali Se Guzar K Dektay Hain
Suna Hai Os Ko Bi Hai Shair-O-Shayeri Se Shughaf
So Hum Bi Moajzay Apnay Hunar K Dektay Hain
Suna Hai Bolay To Baato Se Phool Jharrtay Hain
Ye Baat Hai To Chalo Baat Kar K Dektay Hain
Suna Hai Raat Osay Chaand Takta Rehta Hai
Sitaray Baam-E-Falak Se Otar K Dektay Hain
Suna Hai Din Ko Osay Titliyaan Satati Hain
Suna Hai Raat Ko Jugnoo Tehar K Dektay Hain
Suna Hai Hashr Hain Os Ki Ghazzaal Si Aankain
Suna Hai Os Ko Hiran Dasht Bhar K Dektay Hain
Suna Hai Os Ki Siyaah-Chashmagi Qayamat Hai
So Os Ko Surma-Firosh Aah Bhar K Dektay Hain
Suna Hai Aayeena-Tamsaal Hai Jabeen Os Ki
Jo Saada-Dil Hain Osay Ban-Sanwar K Dektay Hain
Suna Hai Os K Badan Ki Kharaash Aisi Hai
K Phool Apni Qubayain Katar K Dektay Hain
Bus Ek Nigaah Se Lutt-Ta Hai Qaafila Dil Ka
So Rahrawan-E-Tamanna Bi Darr K Dektay Hain
Suna Hai Os K Shabistaan Se Muttasil Hai Bahisht
Makeen Odhar K Bi Jalway Idhar K Dektay Hain
Rukay To Gardishain Os Ka Tawaf Karti Hain
Chalay To Os Ko Zamanay Tehar K Dektay Hain
Kisay Naseeb K Be-Pairhan Osay Dekay
Kabi Kabi Dar-O-Deewar Ghar K Dektay Hain
Ab Os K Shehr Mai Tehrain K Kooch Kar Jayain
Faraz Aawo Sitaray Safar K Dektay Hain