Add Poetry

Suno Na

Poet: By: Ahmad, dubai

Yeh Waqt-E-Furqat Kitna Kathin Hai Meri Jaan
Hoga Mushkil Maanaa Tha, Magar Itnaa Mushkil
Socha Bhi Naa Thaa

Woh Chanchal Si Khilkhilahat
Woh Tumhari Mand Mand Si Muskaan

Woh Tumharay Badan Say Aatay Bahaar Kay Jhonkay
Woh Tumhaari Saadgi Main Daanaai Kay Imkaan

Woh Tumhaaraa Meri Baahon Main Duniya Ko Bhool Jaanaa
Woh Behtay Ashkon Main Laraztay Labon Ka Muskuraanaa

Woh Tumhaari Pal Pal Ko Shiddat Say Jeenay Ki Chaah
Woh Tumhaari Nazar Main Phool Say Komal Khwaabon Ki Raah

Woh Tumhaari Dabdabaai Aankhon Main Unkahayay Swaal
Woh Tumhaaray Ghanay Dasht Say Gasuon Ka Jmaal

Woh Tumhaaray Honthon Ka Tilsmee Khumaar
Woh Tumhaaraa Mujh Par Beloss Aitbaar

Bahut Yaad Aataa Hai Yeh Sub Meri Jaan
Aur Yaad Aataa Hai Bahut Tumhaaraa Woh- "SUNO NA"

Rate it:
Views: 1601
24 Jan, 2009
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets