Talkhi-E-Zamaany Ko Bhool Jatay Hain
Aao Aaj Kisi Bahany Hum Bhi Muskuratay Hain
Hakeekatee'n Zeest Ki Zalim Hain Bohat
Hum Hansty Huaye Phir Bhi Zeest Nibhaty Hain
Kehtay Hain Ye Shajar Hai Sayadar Bohat
Suraj Dhalty Hi Log Phir Q Chorr Jatay Hain
Zindagi Bhar Saath Nibhany Ka Kehny Walay
Safar Kathan Ho To Rukh Murr Letay Hain
Hakeekatee'n Wafa-O-Jafa Ki Apni Jagah
Hum Tum Par Kaha'n Tohmat Koi Lagatay Hain
Yeh Dobta Hua Suraj Nikalta Hua Chaand Amber
Dastaa'n Urooj-O-Zawaal Ki Ik Sunatay Hain